About Me

My photo
Bhusawal, Maharashtra, India
I am a bit of everything & more. I like humor, am a bit crazy but not too talkative as I need to have my space. I hate fear and don't like to be worried.

Tuesday, June 1, 2010

Hamiin ko nazm-e-gulistaan pe iKhtiyaar nahiin


Hawas naseeb nazar ko kahiin qaraar nahiin
main muntazar houn, magar teraa intezaar nahiin

Hamiin se rang-e-gulistaan, hamiin se rang-e-bahaar
hamiin ko nazm-e-gulistaan pe iKhtiyaar nahiin

Abhii na chher muhabbat ke geet aie mutrib
abhii hayaat kaa maahaul Khushgavaar nahiin

Tumhaare ahd-e-vafaa ko main ahd kyaa samjhoun
mujhe Khud apnii muhabbat kaa aitbaar nahiIn

Na jaane kitne gile ismein muztarib hain nadeem
vo ek dil jo kisii kaa gilaa-guzaar nahiin

Gurez kaa nahiin qaa’il hayaat se, lekin
jo sach kahoun to mujhe maut naagavaar nahiin

Ye kis maqaam pe pahunchaa diyaa zamaane ne
kay ab hayaat pe tera bhi iKhtiyaar nahiin


Glossary:

hawas-naseeb = lustful
qaraar = satisfaction
muntazir = waiting
nazm-e-gulistaaN = the arrangement of the garden (system!)
mutrib = singer
hayaat = life
maahaul = environment
Khushgavaar = happy
ahd-e-vafaa = the promise of love and faithfulness
gile = complaints
muztarib = anxious
nadeem = companion
gurez = running away
qaa’il = consenting
naagavaar = unpleasant
iKhtiyaar = adopted, acquired



This is Sahir's poem I am sharing with you, hope you shall like it.

No comments: